Barsant ka mousam
Mere bhai or behno jab hum baat karte hain barsat ke mousam ki to bhut saari batein humare dimag men ati hain jab hamare gaon me barsaat ka mousam ata hai to gaon ki kacchi sadken gatton me badal jati hain or bijli to jaise mano dikhawe ki rehjati hai.
Baat karen yadi khane ki to hum kisano k paas anaj to bhut hota hai magar barsanth ke karan use pisana na mumkin sa ho jata hai,kyonki ganb ki jo chakki hoti hain boto lagbhag band hi rehti hai kyonki bijli bhut hi kam ati hai.
Or sath hi baarish ka mousam gaon me bhut si beemario ebam macchadon ko saath lata hai jab ghar se nikalte hain to charon taraph kichat hi dikhai padti hai or gaon ka seher or kasbe se to sampark toot sa jata hai na koi sadhan asakta hai na koi jasakta gaddon k karad sab raste band ho jate hain jab gaon ka koi beemar ho jata hai to dr ko dikhane ke liye sahar jana padta hai magar kacchi sadkon ke karan e kaam bhut muskil ho jaata
Aaj bhi 2018 me hamara gaon Esi haalat men hai jiski nato kisi sarkaar ne madat ki na kisi ne aaj itna age badh gaya bharat firbhhi hamare gaon jaise kai gaon hen jahan ek bhi road pakka nahin hai.aas paas ke gaon hamre gaon ke mukable bhut hi biksit hain
THANKSYOU
No comments:
Post a Comment